aaj kal is bhag daud bhaare zindagi me. logo ke pass tamam prakar pareshaniyan hoti hai. aur inhi pareshanion ke chalte log tanav me aa
jaate hai .agar in pareshaniyon se jald na chhutkara paya gaya to. ye hamare sehat ke liye theek nahi hota hai. hamara sehat k oopar isk bahut bura prabhav padta hai. isiliye hum aaj aap logo ke liye
aise hi kuch article lekar aaya hun hai jisko padh kar aap jald hi tanav se bahar aa sakte hai .
share
chinta se nikalne ke liye sabse jaroori step jo hai. wo ye hai ki. hum apni samasya ko apne tak hi na rakhe. balki ise apne ghar, parivaar, dosto, me share karna chahiye. kyoki jab hum apni samsya ko kisi ke saath. share karte hai to, humare chinta ka bojh halka ho jata hai. aur ye bhi ho sakta hai. woh hume koi aisi baat bata de jise hum jante hi nahi. issliye apni samasya ko apne tak hi na rakhe. balki ise dusro se batae isse nikalne ka upaay puchhe.
positive
positive soche. humesha jab bhi koi samasya aaye to. yehi soche ki jo kuchh bhi hota hai. woh achchhe ke liye hota hai. aur yeh sach bhi hai. jise aaj aap chinta ke roop me dekh rahe hai. bhavishy me wo aapke liye sukhdayi bhi ho sakta hai. issliye humesha sakaratmak soche. nakaratmak vichar se door hi rahe.
aatmvishvaas=
jab musibat a jaae to ghabrae nahi balki uska dut kar samna kare apni aatm vishvaas ko banaye rakhe kyoki kitni bhi badi samasya kyo na ho agar aapka aatm vishvaai hai to aap uska samna badi aasani se kar sakte hai koi bhi samasya badi ya chhoti nahi hoti ye to humare drishtikone par nirbhar karti hai ki hum samasya ko bade roop me dekhe ki chhote roop me
wohi kare jo aapko achha lage
tanav se bahar nikalne ke liye ye ek best formula hai. jab tanav me ho to aap keval vahi kare jo aapko achha lage. i mean ki. aap apni pasand ka koi gana sun sakte hai. koi movie dekh sakte hai. kahi ghumne ja sakte hai. dosto ke saath hunsi mazaak kar sakte hai. in short aap apni shauk ka kaam kare
jiska hal nahi use chhod de
kuchh paristhiti aisi hoti hai. jis par humara koi niyantran [ control] nahi hota hai. aisi sthiti me aap kya karenge ? aisi sthiti me aap use samaya ke bharose hi chhod de to hi behatar hai. q ki jab hamara uspe koi control nahi to hum us problems ko solve bhi nahi kar sakte hai .isliye jis cheez par hamara control nahi hai .use samay ke dhara par chod dena sahi ahi
Comments
Post a Comment
comment