aaj ka daur paise ka daur hai iss daur me sabkuchh paise se hi jaani jaati hai har insan issi paise ke liye kuchh na kuchh kar raha hai woh din raat ek hi or bhaag raha hai vah hai paise ki or insan paisa to kama leta hai lekin samay ekbaar jaane ke baad dobara vaapas nahi aata agar paisa chahiye to hume samay ka mhatv ko samajhna padega alag alag logo ne guru ki alag alag paribhasha di hai .kya aapko pata hai humara sabse bada guru kaun hai humara sabse bada guru samay hi hai sayad aap isse na maane lekin mai isse manta hun yehi samay hume sabkuchh sikhata hai issliye hum agar ke mahatv ko nahi samajhte to samay hume nahi samajh payega ye kahavat to aap jaroor sune hoge ki samay hi paisa hai lekin sach to yeh hai ki samay paisa se adhik mahatvpurn hai. ek baar paise ko kho dene ya kharch kar dene ke baad aap paisa dobaara kama sakte hai lekin agar ek baar bhi agar aap samay ko loss kar de to wo samay aapke life me dobara kabhi nahi aayega issliye hum kah sakte hai ki samay paisa se adhik mahatvpurn hoti hai. samay ka sadupyog na karne par humare paas haath malne ke sivaay kuchh nahi bachta gaya waqt fir kisi ke haath nahi aata hai . gujara huaa lamha na kisi ke liye kabhi lauta na kabhi lautega hum ko barbad karege to samay hume barbad kar dega aur uske bad hum pachhtae bhi to koi fayada nahi issliye samay ke mahatv ko samajhna ati aavashyak hai .samay ka sawdhani se upyog karke aap aashchary janak parinaam prapt kar sakte hai magar isske liye aapko ek ek minute ka hi nahi ek ek second ko soch vichar karke hi istemaal karna padega ye kaam badi sawdhani se aur bahut hi dhyan se kiya ja sakta hai dosto ek baat ko samajhkar jaroori hai ki samay ka upyog karna kaafi nahi hai balki samay ko theek dhang se upyog karna bhi jaroori hai
Comments
Post a Comment
comment