insaan ki aawshyakta anant hoti hai .wah inhi aawsyktao ki purti ke liye kaam karta hai aur dhan ko arjit karta hai .
kya hum isi ko hi dhan kah sakte hai ....nahi... jab hum ise wastvik dhan nai kah sakte to phir dhan hai kya ,,ghar pariwar ,ke prati prem, parisram se upji hui sampatti, yah sone chandi ki sampada ?
sone chandi ki sampatti to lobh aur lalach ko badhane wali hai yah sab to bahari sampatti hai jo hamari andar ki sampda ko nasht kar deta hai agar ise sahi dhang se ekatrit na kiya jaye to. hamari bheetari sampatti to pyar, dayaluta, karuna, hai jo hume doosro ki madad karne me sahayta karta hai ise hi hum wastwik dhan kah skte hai q ki har wo dhan ka asal me koi mulya nai
jisse hum doosro ki madad na kar sake.jis dhan se hum doosro ki madad kare asal me wahi wastvik dhan hai.| aur jo hamari bahari sampatti se utpann hui lobh-ahankar . hamari bheetari sampatti ko dheere-dheere samapt kar deti hai.| aur hamare dil ki komalta samapt ho jati hai. hum doosro ki madad karne se katrate hai ..hum doosro ki dukh ko samajh hi nai pate hai. isse kya hota hai ki hamari shanti samapt ho jati hai.hum apne hi sukh chain ko samapt kar dete hai .hum khud sukh wa chain se nahi rah pate hai. hume santusht hi nahi hota ki hum poorn hai .aap sabhi ye kahawat to zaroor suna hoga ki .....santosh hi sabse bada dhan hai... ab aapko khud hi iska chunav karna hoga ki hume lobh aur lalach ka saath chahiye ya-santosh aur shanti ka
behatar yahi hoga ki parishram dwara arjit ki hui dhan ke saath sathh apni bheetari dhan ko bhi badhane ka upay kare.jisse hum apni aur doosro ko bhi dekh sake aur mada sake.....................santosh hi sabse bada dhan hai.
Comments
Post a Comment
comment